शनिवार, दिसंबर 31, 2005

The Count Down Begins....

To leejiye naya saal aa pahuncha hai! Par ye countdown main is saal ke aakhiri palon ko ginne ke liye nahin mana raha. Mere blog ki ye pehli 31 Dec hai! Aur agar 31 Dec ko kuch suru karna ho to wo mere liye musical countdown ke aalawa kuch ho hi nahin sakta :). aadat se majboor jo hoon kyunki khushi ke kisi pal mein main sangeet se door rehne ki soch bhi nahin pata. Is baar ki meri pasandeeda geeton ki pherhist mein 25 nagme hain jinmein kuch ke bare mein main pehle bhi likh chuka hoon. Ye geet khushi ke bhi hain aur gham ke bhi. Umeed hai ki aap sab ko ye silsila pasand aayega. Apni pasand -napasand ka aap sab izhaar juruur keejiyega :)
Isse pehle ki humari ye Amin Sayni style geetmala start ho aap sab ko meri taraph se naye saal ki hardik shubhkaamnayein is aasha ke sath doston ki......
tera mera sath rahe........
tera mera sath rahe........
dhoop ho chaaya ho.......
din ho ki raat rahe..... :)
HAPPY NEW YEAR 2006!
Pehle to ye keh doon ki ganon ki jo ranking main yahan dene ja raha hoon wo utni jyada maayne nahin rakhti kyunki aisa bhi ho sakta hai ki within a bracket say 15-20 tak kesare gane mujhe ek jitne hi pasand aaye hon. Is list mein 2006 ke adhiktar dance hits aapko nazar nahin aayenge. Ye nahin ki main unhein pasand nahin karta par aise geeton ki khasiyat ye hai ki inka ek time span hota hai jiske beech ye khoob chalte hain aur phir ek dum se gayab ho jate hain. Kuch geet aise bhi honge jo waqai behad umda rahe hon par main inhein sun na paya hoon. Aise kisi missing song ke bare mein mujhe batana na bhooliyega. aur haan meri is rating ka paimana music, masti ke aalawa lyrics, gayki aur mere par inka emotional impact hai.
Agar ek geet ke liye ek din ka bhi waqt rakhoon to bhi 25 din lagte hain. To janab main koshish karoonga ki ek hi post mein regular additions karta rahoon taki is mahine ke aakhir tak is countdown ke muqam tak pahunch sakoon:). Aasha hai aap sab sangeet premi mere is safar mein sath honge…

बुधवार, दिसंबर 28, 2005

Jiya Dhadak Dhadak Jaye....

Bansuri ki ek madhur taan…
Aur phir ek sammohit kar dene wale swar …
Jiski goonj geet ke khatma hone ke baad bhi bani rehti hai…
Aur ye goonj jiya ko dhakaye bina reh jaye aisa to ho hi nahin sakta…



Ab tak to aap samajh hi gaye honge ki main kis gayak aur kis geet ki baat kar raha hoon!
Sarhad paar ke is udiymaan gayak ne pichle saal bhi Lagi tujhse man ki lagan ko apne adbhut andaaz mein gaa ke man ko moh liya tha.

Rahat Fateh Ali Khan ki gayki, unki high notes ko saralta se gaa pane ki salahiyat aur geet mein shashtriya sangeet ki mithaas ye teenon batein unhein ek alag hi shreni (league) ke gayak mein laa khada karti hai. waise ye meri rai hai ki aapki bhi?


tujhe dekh dekh sona - 2
tujhe dekh kar hai jagna
maine yeh zindagani
sang tere bitaani
tujhmein basi hain meri jaan ,haai

jiya dhadak dhadak

jiya dhadak dhadak

jiya dhadak dhadak - jaye

kabse hai dil mein mere armaan kai ankahe - 2
inko tu sunle aaja
chaahat ke rang chadha jaa - 2
kehna kabhi to mera maan, haai
jiya dhadak dhadak - jaye

lagta hain yeh kyu mujhe sadiyon se chaahu tujhe - 2
mere sapno mein aake apna mujhko banake - 2
mujhpe tu kar ehsaan haai
jiya dhadak dhadak………jaye

tujhe dekh dekh sona…………
jiya dhadak dhadak………jaye


Movie- Kalyug
Lyrics –Asim Raza
Music Director:- Faisal Rafi, Rohail Hyat

रविवार, दिसंबर 25, 2005

Tumhara Intezaar Hai.. Pukar Lo ..

Par khwab jab haqeeqat ban jayein to kisi ka intezaar humein is qadar bechain kar deta hai ki dil pyar ki us tadap ka izhaar karne ke liye kuch yun gungunane uthta hai

tum pukaar lo, tumhara intezaar hai
khwab chun rahee hain raat bekaraar hai
honth pe liye huye, dil kee baat hum
jaagate rahenge aur, kitnee raat hum
mukhtasar see baat hai, tum se pyaar hai
tum pukaar lo, tumhara intezaar hai
(mukhtsar- in short)

dil bahal to jaayegaa, is khayaal se
haal mil gayaa tumhara, apne haal se
raat ye karaar kee, bekaraar hai
tumhara intezaar hai.. pukar lo ..

(Lyrics :Gulzar, Movie : Khamoshi, Singer :Hemant Kumar)
Click to listen the song
Aur agar pukarne pe bhi aapka humsafar aapse door chala jaye to. :(
Ek bemani si khwahish dil mein rehti hai jismein asha jyada aur viswas kam hota.hai.
Ki shayad wo aaye aawaz de kahin se.!
Uski aawaz to phir nahin aati haan waqt bewaqt un sath bitaye palon ki khushboo ye juroor kehne pe majboor kar deti hai..

mujhey kal miley they kuch gulaab jo terey leeye ye keh gaye
ke terey intezaar meiN sog'waar gulshan ka samaaN hai aaj bhi


Concluded

गुरुवार, दिसंबर 22, 2005

Intezaar, Intezaar, Bolo Kab Tak Karoon Main Intezaar?

Intezaar agar khwabon ke poore hone ka kiya jaye to wo intezaar chahe lamba bhi ho to bhi dil ko bahut bhata hai.
Kabhi aisi hi soch mein hum kho jate hain !
Aise aise khwab dekh dalte hain janab ki jin pe tarkik (logical) roop se hum punarvichar karein to khud hi hans padenge. :)
Par isiliye to aisa intezaar dil ko kabhie tees nahin pahunchata kyunki uski neenv khwabon ke dharatal pe khadi hoti. Uski koi samay seema nahin hoti.
Bas hoti hai to ek aasha jo poori ho jaye to kya kahne!
Aur na bhi poori huyi to use ek aur apoorit swapna maan kar hum santosh kar lete hain

Chaliye aap sab ko ek geet ki yaad dilayein jo aisi hi bhavnaon se ootprot (related) hai. ise gaya tha Lata Mangeshkar aur Mukesh ki yugal jodi ne 1974 mein release huyi film Phir Kab Milogi ke liye

Kahii.n karatii hogii, vo meraa, i.ntezaar
Jisakii tamannaa me.n, phirataa huu.n beqaraar

Dur zulfo.n ki chhaao.n se, kahataa huu.n mai.n havaao.n se
Usii but ki adaao.n ke, afasaane hazaar
Wo jo baaho.n me.n machal jati, hasarat hii nikal jati,
Meri duniya badal jati, mil jaataa qaraar
Kahii.n karatii hogii ...

kahii.n baithii hogii raaho.n me.n
gum apanii hii baaho.n me.n
liye khoyii sii nigaaho.n me.n, khoyaa khoyaa sa pyaar
saayaa rukii hogii aa.nchal kii
chup hogii dhun paayal kii
hogii palako.n me.n kaajal kii, khoyii khoyii bahaar
kahii.n karatii hogii ...

aramaan hai koi paas aaye,
in hatho.n me.n vo haath aaye,
phir kvaabo.n kii ghataa chhaaye, barasaaye khumaar
unhii.n biitii din rato.n pe, matavaalii mulaqaato.n pe,
ulfat bharii baato.n pe, ham hote nisaar
kahii.n karatii hogii ...
Click here to listen the song

To suna na aapne ye gana! Par nahin ji baat yahin khatma nahin huyi meri ! Abhi to Intezaar pe aapko ek kavita padhani hai jo mujhe behad pasand hai. Ise likha hai meri pichli countdown pe jhande gadne wale
Prasoon Joshi ne!
To aap sab bhi dekhein Joshi ji ki ye nayika apne jeevan mein aane wale us unjaane shaksh ka intezzar kis terah kar rahi hain.....

Raat ke pehredaar ki seetee
Sath hawa ke sair ko nikli
Jagte rehna jagte rehna
raston se awazein guzreen
aur hans ke main khud se boli
janmon se main jaag rahi hoon
Intezaar ko saadh rahi hoon
Koi to aaye, koi to bole tu so jaa ek baar
intezaar, intezaar, bolo kab tak karoon main intezaar?

Subah subah aangan mein apne geele khwab sukhati hoon
Kaanon mein khud daal ke unglee oonche sur mein gaatee hoon
Shaakh gulmohar kee hasrat se kitnee baar hilaatee hoon
kabhi to khushboo se bhar jaaye yeh daaman ik baar
intezaar, intezaar, bolo kab tak karoon main intezaar?

Pehle thoda jiya jalaya
phir aangan mein diya jalaya
narm ghaas pe chal ke dekha
ik bulbul ko paas bulaayaa
aur usne kaanon mein gaaya
aayega woh dhoop ka tukra ik din mere dwaar
intezaar, intezaar, jiska mujhe intezaar
To be continued...

सोमवार, दिसंबर 12, 2005

Tera Intezaar Hai....

Aankhon ko intezaar ka de ke hunar chala gaya
Chaha tha ek shaksh ko jaaney kidhar chala gaya.
Din ki vo mehfilein gayee, raaton ke ratjagey gaye
Koii samet kar mere, sham-o-saher chala gaya.

In ashaar ko padh kar aap samajh hi gaye honge ki aaj ki meri is post ka kendrabindu(centrepoint) kya hai! Jee haan theek pehchana aapne wahi jise karne se aap sab ghabrate to juroor hain par phir bhi is ke chakra se apne aap ko bacha bhi nahin pate.:)
Ab intezaar bhi waise do terah ka hota hai! Bataiye to kaun kaun sa?
Chaunkiye nahin janab ek adad bharteey hone ke nate aapne pehle type ke intezaar ka anubhav to shartiyan kiya hoga!:)
Aap pocheinge kahan?
Are aur kahan bhai ----rashan ki kataron mein, reservation counter pe, telephone aur bijli bill jama karte waqt, banks mein , post office mein…..uff ye list to unending hai. Kahan tak bayan karoon waise bhi apni is post ko unromantic banane ka mera koi irada nahin..:)

Kyun na phir baat karein ghar ki us balcony ki, college ke us gate ki, insti ki us library ki, pass ke us bus stop ki, apni canteen ki, ya aise hi anginat si jaghon ki jahan pe aapne kisi ke aane ka intezaar kiya hoga. Kitne bhari padte hain ye pal khaskar jab hum asmanjas mein hon ki jo aane wala hai wo aayega bhi ki nahin. Par ek baar agar wo aa jaye to intezaar ka wo har ek lamha saarthak ho jata hai, khushnuma ho jata hai.

To aise hi kisi lamhe ko yaad kejiye aur ye geet suniye jise Rahul Vaidya ne gaya hai aur is khoobsurti se gaya hai ki Sonu Nigam bhi pareshan ho jayein aane wale is tough competition ke liye. Bada hi pyara nagma ye hai jise baar baar gungunane ka jee juroor chahega aapka.

Mujhe raat din ab tera intezaar hai
Bataoon tujhe kis terah itna pyaar hai
Tera intezaar hai Mujhe tujhse pyar hai
Mujhhe tujhse pyar hai tera intezaar hai

Tanhaiyaan bhi hain
Bechainiyaan bhi hain
Masoom dil bhi hai
Majbooriyan bhi hain
Sadayein teri kyun mujhe aati nahin
Wo yadein teri dil se kyun jati nahin

Tera intezaar hai ..................................
Le aayenge sanam
Tujh ko mana ke hum
Pagal se ho gaye
Dil ko laga ke hum
Deewane ko tu ek naya koi naam de
Subah pyar ki, pyar ki koi sham de

Tera intezaar hai ..................................
Par ye intezaar to chanik tha jiska nateeja humein turat mil gaya. Par kya har baar kisi ke intezaar ka phal turant mil jata hai. nahin na. Kabhie kabhie ye intezaar seemaheen hota hai bina kisi time limit ke....
To be continued...

गुरुवार, दिसंबर 08, 2005

Kahan Ho Tum Mujhe Batao?

Zindagi kabhie na khatm hone wali taalash ka ek doosra naam hai, Chahe wo talash us shishu (baby) ki ho jo is duniya mein aate hi apni maan ke aanchal ke peeche bhojan ki talash karta hai. Ya phir us kishor(teenager) ki jo ek adad dost ki talash mein bhatakta phirta hai. Par kya dost mil jane se ye talaash khatm ho jati hai. Nahin ji agar dost mil bhi jayein to phir ek humsafar ki talash mein phir se jut jate hain hum...

Udasi ke badlon mein khushi ki jagmagati lakeer ko dhoondhte Bashir Badar sahab kya kehte hain


Main udaas raasta hoon shaam ka,teri aahaton ki talaash hai
Yeh sitare sab hain bujhe bujhe , mujhe jugnuon ki talaash hai.

Woh jo ek dariya tha aag ka, sabhi raaston se guzar gaya
Tumhein kab se ret ke sheher mein,nayi baarishon ki talaash hai.

Aur phir agar humsafar mil ke bhi waqt aur halaat ke thapedon se chitak jaye to kya kare koyi? Beeti yadon aur khwabon ka hi to sahara bachta hai phir. Par wo sapne samay ke sath kab apni shaql ganvaan baitheinge ye humare bas mein raha hai kabhi ? nahin naa.
Isilye to Ahmad Faraz sahab kehte hain

Terii beruKhii ke dayaar mein, main havaa ke saath havaa huaa
Tere aa_iinay kii talaash mein, mere Khvaab chehraa ganvaa gaye

Kuch aise hi talash mein dooba ye geet pichle ek mahine se mere jehan ki wadiyon ke chakkar kaat raha tha. aur main bhi is mauke ki talash mein jab ise apne blog pe pesh kar sakoon!
Ek behad pyara geet jise apni behtareen gayki se sanwara hai Neeraj Sridhar ne! To huzoor sunna na bhooliyega ye song:)


Kahan ho tum mujhe batao…?
Jara kareeb se pukaro…..
Kahan kahan main dhoondhoon tumko….?
Main awaara dar badar
Nazar na aaye tum magar
Chup gaye ho tum kahan….. Ho tum kidhar…..?

Ab to dil hai behta sehra
dariya, aankhon ki nami
Yadon ka laga hai pehra har kahin……

Jaana tum pe tha jo raushan
Mera pyar pe yakeen
Ab hai kahan, kal tak to tha yahin.... o hamnashin....

Tumhin ne to kaha tha mujhse
Subah nayi to aayegi…..
Isi umeded ke sahaare….
Kar rahan hoon rahguzar
Kaho kahan ho Humsafar ?

Chup gaye ho tum kahan….. Ho tum kidhar…..?
Ab to dil hai behta sehra
dariya, aankhon ki nami
Yadon ka laga hai pehra har kahin……

Mujhe aawaz do…
Mere khwabon ke saharon phir se aawaz do
Kahan ho tum pukaro…..?
Mere khwabon ke saharon mujhe tum pukaro...
Chup gaye ho tum kahan….. Ho tum kidhar…..?

Click to listen this song
Movie - U Bomsi & Me