बुधवार, अगस्त 31, 2005

Sheeshon ka Masiha Koyee Nahiin... by Faiz

Continued from previous post.....

Apni pichli post mein maine baat ki thi toote sapnon aur bikhre motiyon kiTo leejiye huzoor aaj padhiye in bikhre motiyon aur kaanch ki kahani Faiz ahmad Faiz ki jubaani
moti ho ki sheesha jaam ki dur1
jo toot gaya so toot gaya
kab ashkon se jud sakta hai
jo toot gaya , so choot gaya


tum nahak tukrey chun chun kar
daman mein chupaye baithey ho
sheeshon ka masiha koyee nahiin
kya aas lagaye baithey ho

shayad ki inhii tukron mein kahiin
wo sagar-e-dil hai, jis mein kabhi
sad naaz se utra karti thi
sahba-e-gham-e-jaanaan2 ki pari

phir duniya walon ne tum se
wo sagar le kar phod diya
jo may3 thi baha di mitti mein
mehmaan ka shah par4 tod diya

ye rangiin reze5 hain shahid6
un shokh biloori7 sapnon ke
tum mast jawani mein jinse
khilwat8 ko sajaya kartey the


naadaari9 dafter bhookh aur gham
un sapnon se takratey the
be-raham tha chau-mukh pathraav (stoning from all the sides)
yeh kanch ke dhanchey kya kartey?

ye sagar sheeshe, laal-o-guhar10
saalam11 ho to keemat paate hain
yun tukde tukde hoon to phakat
12
chubhte hain, lahoo rulwaate hain

yaadon ke girebanon ke rafoo..
par dil ko guzar kab hoti hai ?
ik bakhiya udheda, ek siya
yun umra basar kab hoti hai ?

tum nahak tukrey chun chun kar
daman mein chupaye baithey ho

sheeshon ka masiha koyee nahiin
kya aas lagaye baithey ho


Meaning of difficult Urdu words
1 Ek terah ka ratna
2 Gham ki sharab roopi preyasi
3 Sharab
4 Pari ka sabse bada pankh
5 Rangeen Tukde
6 Gawaah
7 Kaanch ke
8 Akelapan
9 Gareebi
10 Manik, moti
11 Salaamat
12 Kewal

सोमवार, अगस्त 29, 2005

Toote Moti Bikhre Sapne

Zindagi ke pyare lamhe to kamobhesh humare apne nahin rehte aksar hum unhein apne aas paas ke logon mein bantte rehte hain,
Par un bikhre sapnon un toote motiyon ka kya karein jinhein humne dil ki kisi band kaal kothri mein dabaya hua hai?
Roz ki is aapa dhapi mein inke rehne na rehne pe bhi ek sandeh sa utpanna hota hai!
Par yaadon ke wo moti kab kis baat pe dil ke girebaan se nikal, bahar chitak jaayenge ye bhala jaan saka hai koi?
Nahin kabhi nahin…..

Par ye to batayein ki in adhoore sapnon aur toote motiyon ko dil mein sajone ka koi phaida hai ?
Aap ki baat to nahin janta par main to jhat se yahi jawab doonga ki har cheez nafe nuksan ke tarazu mein nahin tauli ja sakti!


Phir bhi hum dill ko us peeda se nijaat dilana chahte hain, use bahlana chahte hain taaki wo toote moti zakhm ko itna gehra na kar dein ki wo nasoor ban jayein.....aur humein andar hi andar se khokhla na kar dein..

Aaj inhi bhavnaon se judi do kavitayein aapke saamne la raha hoon . Do isliye ki yoon to ise likha do mahan diggajon ne hai par uske peeche ka mool bhaav ek hi hai !

Inmein se ek Faiz Ahmad Faiz sahab ki hai to doosri Harivansh Rai Bachchan ji ki

Ye dono kavitayein tab likhi gayin jab inke likhne walon ko behad kathin paristhitiyon se hokar guzarna pada tha. Faiz ko to tatkaaleen sarkaar ne jail mein band kar rakha tha aur Bachchan sahab apni pehli patni ki asaamyik mrityu se vyathit the…..

(To be continued)

रविवार, अगस्त 21, 2005

Wo Hansi Uffffffffffffff..........

ANNOUNCEMENT : DO PARTICIPATE IN ONGOING QUIZ AT MY ENGLISH BLOG http://indianspirit.blogspot.com/2005/08/quiz-section-i-music-movies.html
Ek hafte ke antaraal ke baad ek baar phir upasthit hoon is srinkhla ki agli peshkash ke sath.
Aaj us chehre ki baat karenge jo shayad hi kuch ek palon se jyada aankhon ke samne raha ho…..

To aaj le chalte hain aapko Delhi.
Baat 1994 ki hai....
To hum teen yani mere aalawa Escorts mein kaam karne wale mere do sathi aaye the ek exam dene Delhi mein. Centre tha IIT Delhi. Unmein se ek Delhi ka banda tha aur dooja Merrut ka. Exam ke baad bus se hum Hauz Khas se Lajpat Nagar tak aa gaye the. Ab humein wahan se Faridabaad jane wali bus pakadni thi.
Ab jo bhi buses aa rahin thi wo sab buri terah jam packed.
So kare to kya karein hum?
Chup chap kabhi us tez dhoop ko to kabhi DTC ko kos rahe the :(

ki itte mein door se ek charted bus aati dikhai di

Amooman aisi buses sirf apne roz ke passengers ko hi baithati hain so uske wahan rukne ka koi chance nahin tha. Par bas jyunhi paas aayi ki hum sabki nazar us khoobsurat mukhde pe ja atki jo khidki se hum sabki or hi dekh rahi thi. Bas phir kya tha hum sab ke man mein shararat soojhi aur uski or dekh ke ek sath chilla uthe roko roko humein isi bus mein chadhna hai!
Ab Delhi ke bus conductors to aise hi itte kathor hridya wale hain so wo bus ko bhala kyun rokte par hum bhi iske sath aise daude ki aaj to bus mein entry le hi lenge :)

Daudna to ek bahana tha, basically uska dhyan apni or kheechna tha aur humara daudna vyartha nahin gaya doston, tohfe mein mili ek pyari si unmukta hansi !
Aur hum sab haye haye kar uthe!
Aur wo hansi aaj tak mere mano mashtishk mein usi terah ankit hai ! Us bare mein jab bhi sochta hoon to man mein ek behad sukhad see anubhuti hoti hai!
Kitni taqat hai na ek haseen si muskurahat mein bhai log :)

शुक्रवार, अगस्त 12, 2005

Wo Pareeksha ! Dil ki ya Dimaag Ki Part-II

Pehle din humare do paper the Physics aur Chemistry! Beech mein do ghanton ka gap tha. So lunch time mein doston ne mashwara diya ki yahi waqt hai jaan pehchaan badhane ka. Par maine kaha aaj nahin kal dekhte hain exam khatma hone par. Waise bhi ye info mujhe mil chuki thi ki wo apne pujya pitashree ke sath padhari hain! Ye janne ke baad aadhi himmat waise bhi jati rahi thi. Khair….

Agle din scheduled time se jara jald hi pahunch gaye. Par wo to lagta hai Japanese management philosophy JIT yani JUST IN TIME technology ka anukaran (follow) karne wali prateet hoti thi. So humne apni gup shup ke liye jo situation pichli raat mein soch rakhi thi us par bhi aate hi tusharapaat ho gaya.

Halke halke kadmon se apni desk ke kareeb aa khade huye. Desk pe nazar padte hi humare hosh ud gaye. Man hi man socha achcha hua wo abhi tak nahin aayi nahin to agar usne ye dekha hota to kya sochti wo mere bare mein.

To hazraat aap sab bhi soch rahe honge ki aisa kya hua hoga meri desk pe!
BOYS wiil be afterall BOYS #*#&@$!
Kuch ladkon ne wo desk jo meri thi ko us ladki ki samajh kali aur laal syahi se filmi geeton ki bahar lagi rakhi thi. So humari desk exam ki desk kam aur Vividh Bharti mein aane wale Man Chahe Geet karyakram ki song list jyada lag rahi thi. Aur geet bhi kaise
Thek theek lines to yaad nahin par bhav kuch kuch aise the

Jab se tujhe dekha dil deewana hua jaye re..
Haye tera shabab jaise makhmali gulaab …..
aur na jane kya kya:( :(

Mere jaise shareef :) ladke ke dil pe kya guzari hogi aap samajh sakte hain!

Kutton *@%#* ne itne bade bade letters se likha tha ki 1 m ki doori se bhi saaf dikh jaye phir uski aur humari desk mein muskil se 0.5 m ka phasla raha hoga. Sirf dimaag mein yahi ghoom raha tha ki kaise is vikat paristhiti se door hua jaye. Aakhir sawal humari saaf suthari aur achche student ki image ka tha jo un paapiyon ki us harkat se mitti mein milne ja rahi thi.

To sabse pehle blade se sabse offensive ya yoon kahe bold song ko mitane ki koshish suru kee. Par usmein time bahut lag raha tha aur wo kisi bhi samay aa sakti thi. Itne mein humein ek idea aaya aur man hi man aapne aap ko dutkara ki are moorakh abhi tak tujhe ye kyun nahin soojh raha tha. Exam suru hone mein 10 min the par humare invigilator aa chuke the. Main daud kar unke paas gaya aur likhne ke liye copy mangi. Copy milte hi use aur apne instrument box ko is tarah apni desk pe phailaya ki koi song peeche se dikhai na de. Waise bhi us din ek hi paper maths ka bacha tha ek baar exam suru ho jane ke baad uski nazar un geeton pe padne ka sawal nahin tha.

Wo exam ki ghanti lagne ke baad aayi aur apni usi smile ke sath ye kehti baith gayi ki aaj to paper mere liye bahut tough hoga.
To bataiye aap sab aaj se 15 saal pehle aapke is Manish ne wo situation manage kar lee hogi?????
Nahi janab! Is mamle mein humara luck kabhie achcha nahin raha :(


Shayad uparwale ko bhi kuch purane hisab chukane the. Question paper milne se theek pehle maine ye detect kiya ki awwal to meri copy mein poore pages nahin hain aur last but one wala panna phata hua hai. Ab to exam ka sawal tha to copy badalne ke liye apne desk ko anaavrit (uncover) to karna hi tha. So bade bujhe man se maine apni copy uthai aur invigilator ke paas gaya. Wapas aate samay ek tirchi nazar us pe daali to dekha wo mujhe dekh ke muskura rahi thi. Jhenp ke mare maine jaldi hi nazarein hatayin aur ye sochta hua exam dene baitha ki agar usne wo ab padh bhi liya ho to main exam ke baaad sab saf saaf keh doonga ki ye mea kiya hua nahin phir uske bad wo jo bhi chahe soche.

Us din ka paper tough tha aur aisa wo pehle hi bata chuki thi ki uska maths utna strong nahin hai ! Shayad isi wazah se wo 15 minute pehle hi nikal gayi…

Aur main ye kabhi na jaan paya ki us ki wo aakhiri muskurahat kis wazah se thi.? Kya uski songs pe nazar padi hogi aur padi to yahi socha hoga na ki ye to kitna cheap ladka nikla! Ya phir usne kuch dekha hi na ho…

Umeed se to duniya qayam hai so humne result nikalne tak umeed nahin chori ki shayad hum donon ka bhagya chamke aur mujhe bhir ek mauka mile kisi ghalatphahmi ko door karne ka.

Exam ka result nikla!
Par dimaag ke aage dil haar gaya!

I cleared the exam par na hi mere frens aur na hi wo safal ho saki.
Aaj bhi jab kabhi is waqye pe dhyan jata hai to to uski muskurahat ke sath peeth par us pencil ka dabav phir se ubhar jaata hai.

Chalte Chalte Bharat aur Pak ke mere doston ko Independence Day ki hardik badhaiyan!

मंगलवार, अगस्त 09, 2005

Wo Pareeksha : Dil kee ya Dimaag kee -Part I

High School se +2 ka safar mere liye humesha dil ke kareeb raha hai.
Kehna ghalat nahin hoga ki that was the most lonely period of my life.
Kitni chintayein man ko ghere rehti thin.....


Ek to career kee ! Yani engg exam clear kar payenge ya nahin
Aur doosre ki zindagi mein apni bhi kabhi koi dost hogi ya nahin :(
Haan to frens pehli chinta din bhar haawi rehti thi aur doosri sham ko :)
Pehli ko poora karne ke liye to jam kar mehnat karte…….
Aur doosri kee logical implementation ke liye sirf khyali pulaaw pakaya karte :)

Khair baat to anjaan chehron ki ho rahi hai na phir main apne bare mein kyun bata raha hoon aap sab ko! He he
Wo isliye ki aap sab ko us waqt ke Manish ki manoisthiti se avgat karana juroori tha aage ki baat ka jikra karne se pehle.

Engg Entrance ka wo exam hum teen doston ne ek sath bhara tha! Aur jaisi ki aasha thi hum teenon ko ek hi exam center mila tha aur ek hi room. Par mere roll no aur baki frens ke roll no. mein ek no ka gap tha.

To ye kahani us shaksh ke bare mein hai jise theek mere peeche baithna tha.
Jab wo hansti muskurati humari bagal se guzari to sach maniye humara dhyan uski or bilkul nahin gaya. Humare dimag mein abhi aane wala question paper hi ghoom raha tha.

Paper physics ka tha aur hum use hal karne mein taleen ho gaye!
Par abhi 10 minute bhi nahin guzare honge ki humein peeche se pencil ke dabav ke sath ek phusphusahat sunayi padi ye aapka pehle question (numerical) ka answer kya aaya!

Vastusthiti samajhne mein humein thoda waqt juroor laga par jab situation samajh aayi to electrostatics ke us sawal ko hal karte karte yon mehsoos hua ki 5Amp ki current humare sharer mein bhi pravahit ho rahi hai.

So phir kya tha hum aanan phanan mein hyperactive ho gaye aur sare answers aapas mein (yani mere peeche baithe huye doston tak) exchange hone lage. Par shayad hi humara aur uska koi answer match ho raha tha.

Idhar humare khandoos invigilator ko humari hyperactivity dekhi na gayi ! ek baar aankhein tarer ke gaya aur doosri bar paper lene ki dhamki bhi de gaya. Paper khatma ho gaya aur wo phir ek smile de ke chalti bani. Is baar humne khushi khushi smile grahan ki aur chal pade apni khwabon khyalon ki duniya mein aakhir sham jo ho gayi thi.:)

Aur is baar ka khwab to realistic tha jo jagti aankhon se bhi saaf dikhai de raha tha :)
Kitna achcha ho ki hum ek sath ye exam clear kar lein
Dost to ban hi jayegi aakhir maine itti madad jo ki bina use jane huye…
Aur phir to aage ki line clear hi hai….
Aur inhin meethi kalpanaon mein kab neend lag gayi ye pata hi na chala

Aage kya hua uski bhi ek kahani hai par wo agli kisht mein………

बुधवार, अगस्त 03, 2005

The Little Angel

Baat kai saal pehle ki hai. Us waqt main Faridabad mein kaam kiya karta tha.
Office mein kuch chuttiyan nikal aayi thi . Achanak hi Kanpur mein apne relatives se milne ka mood ho aaya tha. Garmi ki chuttiyon ka season tha lihaza Gomti Express mein kaphi bheed thi. Do ghante yani Aligarh tak to safar khade khade hi bitana pad gaya tha.

Wo safar yoon hi neeras guzar raha tha ki achanak meri nazar 7-8 saal ki us bachchi pe padi. Wo chup chap sabse nazrein bachate huye ek boodhe se sajjan ke baal kheenchti aur phir aise idhar udhar dekhti jaise kuch hua hi na ho. :)
Aur bechare wo sajjan bade pareshan ki ye shararat kaun kar raha hai? Maine isharon hi isharon mein jab use aisa karne se mana kiya to usne masoomiyat bhari ek muskurahat bikheri !
Phir humari baton ka silsila suru hua aur wo mujhse aisi ghul mil gayi jaise ki barson se jaanti ho!
Humari batein Chai aur Coffee banane ke tareekon se suru huyin aur phir Andon(eggs) aur murgiyon se hoti huyi films tak ja pahunchi.:):)

Uska har baat ke ant mein hainge lagana (typical western Up dialect) maslan…
Aapko pata hai hum subah subah doodh late hainge, Mummy us doodh ko garm karti haingi

… mujhe behad pyara laga tha.

Aur Jurassic Park ke bare mein uska bhaybheet hokar ye poochna ki .....
Dinosaur ke ande mein se bachche nikal kar mere jaise bachchon ko kha jate honge?
.....mujhe aaj tak yaad hai. Bachchon mein nayi aur khas kar darane wali cheezon ke bare mein janne ki utsukta ka koi jawab nahin.

Ghanton gupshap ho jane ke baad jab humne uska naam poocha to batane se usne saaf inkaar kar diya! Baad mein uske dada se pata chala ki uska naam Naynam hai !

Kanpur station pe maine Nayanam aur uske Dada se vida lee aur man hi man dua ki umra ke sath iski ye chanchalta yoon hi barqarar rahe..

Dil ke Aaine Mein Base Wo Anjaan Chehre…

Kuch hi dinon pehle Blogger's ki is duniya mein bhatakte bhatakte main Pariland jaa pahuncha aur wahan mujhe ek post padhne ko mili about strangers!

http://pariworld.blogspot.com/2005/05/unforgettable-strangers_29.html

This gave me idea to write something abt those people who have touched my heart someway or another.
Jeewan ki is yatra mein kitne hi aise anjaan chehre aate hain jinke sath bitaye huye chand lamhon ko yaad kar aaj bhi aanand ki aseem anubhuti hoti hai. Mera aane wali posts DEDICATED hai aise hi anjaan chehron pe jinka pratibimb dil ke aaine pe reh reh kar umadta ghumadta hai :)