रविवार, अप्रैल 30, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part VII

Rishte bante rahe bigadte rahe kayi Ratein in bujhte huye rishton ki tapish mein dafan huyin . Jinhein nahin samajhna tha nahin samjhe . Javed Akhtar ne yun hi to wo nazm nahin likhi kiTum Na Jaan Paooge”.
Waqt beetta raha . Kuch mitra blogworld se juda ho gaye Isha, Pari, Divya aur ab Puneet.
Unse gujarish yahi ki
O jaane wale ho sake to laut ke aana!
Par hum na waqt ko thaam sakte hain na doston ko.isliye maine baat ki is ghazal ki
Na Mohabbat Na Dosti ke Liye
Waqt rukta nahin kisi ke liye…
Khair koshish yahi rahegi ki kam se kam samay ke thapedon se is shaam ke safar badastoor jari rahe. Par in posts se aap sab ye to maan gaye honge ki koyi bhi shaam haseen banti hai unmein aanewale shakshiyat ki wazah se. Hope to see u all in the next year and years to come. Aur chalte chalte Gopal Das Neeraj ki ek kavita jiski kuch panktiyan Neeraj wali post ke jawab mein Alaapna ne post kee thin. Neeraj se hi is blog ki vrashgaanth ka aaghaaz hua tha aur unhin se hum is silsile ko apne anjaam tak pahuchate hain.


duur se duur talak ek bhii daraKht na thaa
tumhaare ghar kaa safar is qadar to saKht na thaa

[daraKht = tree; saKht = difficult/hard]


itane masaruuf the ham jaane kii taiyaarii me.n
kha.De them tum aur tumhe.n dekhane kaa waqt ka thaa


[masaruuf = busy]

mai.n jis kii khoj me.n Khud kho gayaa thaa mele me.n
kahii.n vo meraa hii ehasaas to kam_baKht na thaa


[kam_baKht = unfortunate]


jo zulm sah ke bhii chup rah gayaa na Khaul uThaa
vo aur kuchh ho magar aadamii kaa raqt na thaa

[Khaul = boil; raqt = blood]

unhii.n faqiiro.n ne itihaas banaayaa hai yahaa.N
jin pe itihaas ko likhane ke liye vaqt na thaa

[itihaas = history]

sharaab kar ke piyaa us ne zahar jiivan bhar
hamaare shahar me.n 'Neeraj'-saa ko_ii mast na thaa
CONCLUDED

गुरुवार, अप्रैल 27, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part-VI

2005 khatma hua aur waqt aaya Varshik Geetmala ka ..aur kya thi aap sab ki bhavnayein in alag alag geeton pe:)
*************************************************************************
Divya on Mahi Ve
woww manish.. teeno gaane zabardastt hai hai.. aur wo faakhir ka gaana.. sach kaha wo models kisi circus se nikle hue lagte hai.. JUMBO CIRCUS..! jo saal me ek baar aata hai mumbai :P
*****************************************************************
Neel on Sonu Nigam
SonuNigam ke voice mein jaise koi jadoo hain,aisa dard hain is gaane mein ki jab bhi maine isse suna hain,aansoon nikal aate hain.

*************************************************************************
Nagu on Soona Man ka Aangan
Sonu Nigam is really a class act and creates magic with his voice.This song is a perfect example to show he is a master at his work.
*************************************************************************
Puneet on Dheere Jalna
I mean maine ye gaana pata nahin kitni baar suna hoga par jis baariki se Pavan ne likhne wale ki soch par gaur farmaya hain uska jawab nahin...
Bt SRK will always be SRK...
whthr he plays a character of Devdas or Ashoka or Bhut...
he was a perfect misfit...:):)
*************************************************************************
MS on Bulla ki Jana
Ek baar phir, behad hi acchha geet sunaaya appne.....
I remember how I'd instatntly got hooked to this song, when I too like U, was jus swithing between channels one day @ home. Though did not understand the lyrics much, I jus couldn't stop humming the first line....
*************************************************************************
Zombie on Dhadak Dhadak
dhadkoes and seeti maaroes.:)

*************************************************************************
Urvi on Pooche Jo Koi
I love this song! My favourite lines are:
"jab tum haste ho... din ho jaata hai
tum gale lago to... din so jaata hai"
It just conjurers up such wonderful imagery! :)
*************************************************************************
DON on Baawra Man
...mein school mein thi tab kayee baar aise aise sapne dekhti thi ke...hum apnee saheliyon ke saath (hum chaar), matar ke khet mein hahaa jaane kya maza aata tha ke...khana ho to matar todkar laa do...saheliyon ka saath itna pyaara tha ke kya kahein...jaise jaise bare huye...sapne roop badalne lage...lekin sapnon ka aana jaana kabhi khatm nahi hua.
*************************************************************************
To be concluded in next post

रविवार, अप्रैल 23, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part V

August ka mahina raha anjaan chehron jaanleva muskurahat aur pareeksha ki us ghadi kaa kaa,DON. Pari , Divya, Puneet, DD, Neel, Chutki sab sath rahe is safar mein.Divya, DD aur Pari ko post padh kar apne aise hi kisson ki yaad aa gayi. **********************************************************************
Udhar Chutki ne ise meri khinchai karne ka achcha mauqa dhoondha Dekhiye kis terah sheron ke waar kiye mere zakhmon pe :)
aaj tootay howay sapnon ki bauhat yaad ayee
aaj beetay howay sawan ko bauhat yaad kiya

Hayeee....ye kya hogaya......abhi tou gari start hi howi thi k phir band ho gaye :(
ba'qaul-e-shayar:
itnii sii daastaaN hai, mile aur biChha.D gaye!
aghaaz ho raha tha, k anjaam ho gaya!

Aur baat hai us haseen ki halki halki tabasum (smile) ki...;)tou janab dekhiye ye -Sudarshan Faakir-sahab kya kehtay hain is baray mai :
dekhanevaalo tabassum ko karam mat samajho
unhe.n to dekhanevaalo.n pe ha.Nsii aatii hai

:D... ye hum nay bilkul nahi kaha ....ye tou shayar-e-gustaakh hain k kuch bhi kehtay rehtay hain ;D :P
Hum tou bus 'nazeer bansari' ji ki baat mantay hain...:) jo k kehtay hain
kahii.n par bhii rahe.n ham to muhabbat phir muhabbat hai
tumhe.n ham yaad aaye.nge hame.n tum yaad aaogii

**********************************************************************
Aur Puneet ne apne anubhavon ke aadhar pe humein ye salah de dali
Waise bhi ladkiyon ki muskurahat ke raaz jaan ne ki koshish karoge to zindagi yuhi guzar jayegai...
Unki muskurahat to aankhon se guzar dil ko cheer jaati hain...
aur hum bus marham ki khawaish main agli mulakat ka intezar karte rehte hain :-)>

Lekin kuch hi dinon baad Intezaar ki ek kadi mein Puneet ne kuch aur khulase kiye :)
woh ghanto bus stop or railway stn par uska intezaar karna...
uska dair se aana aur mera parha chad jaana...
fir dekh kar uski woh methi si muskurahat...
zindagi main jaise ek nayi lahar ka aana

pehle na jaane kitne saal guzar gaye uske intezaar main
usssey millne ke liye
aur ab na jaane kitne pal guzar rahe hain uske intezaar main
sath chalne ke liye...

**********************************************************************
Phir huyi Puri, Chilka aur dhauli ki yatra. Laut kar kiya humne kisi ka intezaar Aur isi beech jude is blog se kuch naye chehre Zombie, Illusion, Manish Soni aur Nagu. Yahan tak ki chup chaap padh kar jane wali Sayesha ne bhi is blog ko apne comments se nawazaa. Beech mein aaya DON ka bday aur dekhiye kitni sensitive hoti hain ladkiyan apni umra ke bare mein… :p ki wishes ka reply dete huye ye kehna nahin bhoolien...
btw @manu...ye meri pol kholne ki nahi ho rahi..hai :p meri age nikalo wahan se :( baah aah!!!!
chor chori se jaaye magar seena zori se kaise jaaye ...hmm :p

**********************************************************************
To be continued

शनिवार, अप्रैल 22, 2006

Ye Shaam Aapke Naam -Part-IV

Parineeta ki Ratiya Andhiyari Ratiya aur Hindi upanyaas Gunahon ka devta pe likhi meri posts mujhe sabse adhik priya hain. Inke bare mein do chuninda comments pesh kar raha hoon.
***************************************************************
Is blog world ne mujhe mera ek naya music mate diya. Wo theen Neel. Aisa kitni hi baar hua hai ki hum donon ko ek hi geet ko ek sa hi dil ke kareeb paya hai. Ratiya Andhiyari ke bare mein unhone likha..
Ye gana bahuth hi anmol hai mere liye kyon ki ye ek ehsaas hai un andheri raaton ka jab meri ma sonchthi thi ki unki beti sapne ke shehar mein goomrahi hai,aur mein chupke se apne kamre mein letkar roya karthi thi,kisi ko yaad kiya karthi thi:) Zindagi ke ek mod pe aanso rukthe nahi the,aur andhera saath diya kartha tha unhe chupaane keliye:)
***************************************************************
Aur isi post pe Isha Gill ne pesh ki ye behtareen nazm

abhi tu rut badalni thi abhi tu phool khilnay thay
abhi tu raat dhalni thi abhi tu zakham silnay thay
abhi tu sir-a-zameen jaan pay ik badil ko ghirna tha
abhi tu wasil ki barish main nangay pauon pherna tha
abhi tu kashat-agum main ik khushi ka khwab bona tha
abhi tu sainkroon sochi hui batoon ko hona tha
abhi tu saheeloon pay ik hawaay shaad chalni thi
abhi jo chal rahi hay, yah tu kuch din baad chalni thi!
abhi tu raat dhalni thi abhi tu zakhum silnay thay

***************************************************************
Gunahon Ka Devta wali post Blogretti awards ki 10 best review post mein chaynit ki gayi. Is kitaab ne bahuton ka hriday jhakhora hai aur kayi mitra is kitab ko padhne ke baad net pe apni feelings share karne yahan chale aaye. Manish Pandey aur Ansha ke comments inki ek baangi hain.
***************************************************************
Phir shuru huyi 2004 ke ganon ki countdown. Aur isi ne joda is blog ke pehle MALE regular visitor ko :). Haan ye the Puneet jinka sath is blog ko uske baad humesha milta raha. Musical countdown ke silsile mein kayi dost yani Urvashi, Dewdy, Pari, Divya, Avik, Keshi aur jude aur sach sab ke sath ganon ki seedhiya chadhna behad achcha laga. Pari aur Divya ne philhaal blogworld se juda juda hain. Asha hai waqt aane pe we punah avtarit hongi.
***************************************************************
To be continued...

बुधवार, अप्रैल 19, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part -III

Aur phir aayi baat Chand aur uski Chandni ki! DON ne usmein apna bachpan dhoondha, KL aur Chutki ne chand aur us ki chandani ko apne apne nazariye se dekha ! Yahi wo post thi jo Isha aur Neel ko pehli baar yahan kheench ke layi. Mausam shayrana tha hindi na jante huye bhi Bengal se talluk rakhne wali KL bhi apne aap ko rok na payin aur kya kaha unhone jara dekhiye to
*********************************************************************
KL wrote Uh! my Hindi...after my sittings I've been able to finish reading your post..but, it's really good…Ah! I wish you were here last winter on that amazing night - it snowed very heavily and the front of our house was carpeted with a smoot, 2/3 feet, deep layer of snow. Also, there were lots of tall trees in that area and they were without their leaves. It was a full moon night, the moon was just at a slanted position and everywhere was dark, but illuminated by the light of the moon. But the most amazing part was the shadows of the trees that were cast on that smooth, plain field of snow and the intricate, lacy designs that were created on the filed by the shadows of all those branches. It just created a web of magic, a web of spell...ah!

*******************************************************************
Aur Multan se aayi pehli baar Isha Gill kuch khoobsurat nazmon ke sath. Isha jyada din is blogworld mein active to nahin rahin par shayri ka unka shouq unki har ek reply se saaf dikhta tha. Humari is mehfil ke liye unki janib se pesh kiya ye sher..
hum tu zameen-a-khaak thay asman say dil laga bethay
teri deed kay kabil na thay teri mahfil main a bethay

*******************************************************************
Aur shayra Chutki ki is analysis pe bhi gaur keejiye
chaa.Nd ke saath ka_ii dard puraane nikale
kitane Gam the jo tere Gam ke bahaane nikale
chaand ki zindagi aur kisi tanha insaan ki zindagi mai koi ziayda farq nahi ,balaky ye kaha jae k farq hai hi nahi bilkul tou bhi ghalat na hoga ,jis tarha chand k sath buhaat say sitaray hotay hain asmaan par ushi tarha hamaray sath(ek tanha insaan k sath) bhi dunya k log hotay hain ,jo kehnay ko aur dekhnay ko hamaray sath hi hain , jaisay k sitray kehnay aur dekhnay ko chaand k sath hi hain ,par ye hamara dil aur chaand hi janta hai k hum itnay logon (sitaroun) ki mehfil mai bhi kitnay tanha hain kyn k tanhai hazaroun ki mehfil jamnay say nahi apnay aap mai hi mukamaal honay say dour hoti hai
*****************************************************************
To be continued....

सोमवार, अप्रैल 17, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part II

To meharbaan qadradaan waqt aa gaya hai is blog ki kahani un doston ki jubani sunne ka jinke beshkeemti comments ne un posts mein nayi jaan phoonk dee. To pesh hai ye safar un chune huye comments jinhone mere dil ko chua hai ....
*************************************************************************************
Mayoosi bhare din the mood behad kharab tha aur dil baar baar Gulzar ki ye nazm gungunaane pe mazboor tha..
Kisi mausam ka jhonka tha jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai...

Aur Chutki ne likha
Aap ki tehreer ki bunyad vishvas par hai,dunya mai har kism k log hain,jin mai say kuch hamaray dil k behad kareeb bhi ajatay hain aur hum unko apni zindagi ka ek hisa bana letay hain,har choti bari khushi ,aur har chota bara ghum un k sath bantay hain,aesay logon ko hum apnay vishvaas k us darjay par lejatay hain jahan koi ek chota sa jhoot bhi buhaat thes pohnchata hai,dil phir say cahta tou hai k us shaks say nata na torein, saath na chorein aur aesa karnay mai kamiyaab bhi hojatay hain hum magar zehn mai ek waham beth jata hai jo na-chatay howay bhi zindagi bhar qayaam rehta hai.
*************************************************************************************

Post thi Bunty aur Babli ka train song
Baat chali gulzar ke soft romantic song mein slang use karne kee aur Nandini ne ye khoobsurat Triveni pesh kee
'chalo na shor mein chal ke baithe
ki yahan to soch bhi bajti hain kanon mein
bahut batiyaya karti hai yeh phapphekutni tanhaayii'
*************************************************************************************
Batein ho rahi thin chuk chuk gadi ke safar mein khidki pe baithneki kheenchtaan ki aur DON ne share kiya ek mazedaar waqya :)
Rail ke us Safar Ek baar ka qissa bahut acche se yaad hey jab bade bhai ne ladkar baithne bhi na diya to hum roothkar ja kar so gayee the sabse oopar ki sleeper per aur oos din aise soye ke raat ke 8 baje ( jab andhera ho jaata hey), humein mum ne jagaya khana khane ke liye....shayad woh ek hee baar ka hadsa tha jo ab tak yaad hey..lekin ooske baad se ek time-table ban gaya tha ke kaun kab tak khidki per baithega!
*************************************************************************************
To be continued...

शनिवार, अप्रैल 15, 2006

Ye Shaam Aapke Naam : Part-I

15 April 2006 ki ye sandhya aayi aur poora hua is blog ke pehle saal ka safar! Mauqa hai aap sab se batein karne ka kuch is blog ke bare mein to kuch is blog pe aane waalon ke bare mein…

Baat 2005 January ki hai hum teen sathi yani DON, Chutki aur Main apni shamein udaas udaas si guzaar rahe the. Wazah thi humare purane urdu poetry forum ka yakaayak band ho jana! Ye wahi jagah thi jahan hum saalon se apni manpasand shayri aur geet share aur discuss karte the. Wo mehfil band kya huyi laga zindagi ka ek aham hissa hi humse alag ho gaya hai. Teen mahine yun hi anmane se guzre. Par April mein jab DON se blogging ke concept ke bare mein jaana to laga are yahi to main humesha se karna chaahta tha!
Is blog ko maine humesha apni ruchiyon (interests) ke aaine ki tarah rakha kyunki main iske sahaare un logon se judna chaahta tha jo sangeet, kavita, yatra aur purane meethe palon ko meri terah hi mehsoos karte hain. Mujhe khushi hai ki pichle ek saal mein aise kayi logon tak pahunch paya hoon. Aur yahi wazah hai ki Hindi mein blog suru karne ke bavjood maine Roman Hindi mein likhna nahin choda. Ek jaisi soch aur shauq rakhne walon ke beech script yani lipi koyi deewar bane aisa main hargiz nahin chahta.


Sare bloggers ko ye jaanne ki utsukta juroor rehti hai ki aakhir kaun aata hai is blog pe?
Pichle saal is blog ke 15500 pageloads rahe aur uska kareeban 60% hissa waise gumnaam logon ka tha jo yahan koyi geet, koyi kavita, koyi ghazal dhoondhte aa pahunche. Mujhe is baat ki khushi hai ki mera ye blog un logon ke kuch kaam aa saka. Aap mein se kuch ne mujhe e-mail bhi kiya. Aasha hai aage bhi aap mujhe apni rai bhejte rahenge.
15% hissa waise logon ka hai jo yahan ghalti se aa pahunche :) yani khojne kuch aur aaye the aur nikla kuch aur. Aise logon ke sath meri poori sahanubhuti hai.
Baaki hissa un doston ka hain jo yahan humesha aate rahe. Inmein se kayi aaj is blog world mein sakriya (active) nahin. Is blog ki aage ki kahani un mitron ke naam jinke bina is blog ka pehle saal ka safar itna madhur nahin rehta...
To be continued..

गुरुवार, अप्रैल 06, 2006

Aankh Ka Aansoo

Aansuon ki leela bhi badi vichitra hai. Ye kab, kyun aur kaise nikal jayein is bare mein pehle se koyi bhavishyavani karna atyant dushkar hai. Jab bhi dil ki bhavnayein chahe wo apaar harsh ki ho ya phir gahre vishaad ki, jabta karne mein hum apne aap ko asahaay pate hain ashru ki boodein nikal padti hain. Is kavita mein Ayodhya Singh Upadhyay 'Hariodh'ne aansuon ki kahani ko unko janm dene wali maanveey bhaavnaaon ke sath prastut kiya hai.

Ansoo us sakhsh ke liye nikalte hain jisse humein sneh ho. Apne kareebi ke dukh se j humari aankhon ka dravit hona uske prati humara pyar jatlane ka ek tareeka hota hai. Bakoul Qateel Shifai
Koyi ansoo tere daman par gira kar
Boond ko moti banana chahta hoon

Aur yahan kavi man ko choo dene wali in panktiyon mein kehte hain
Aankh ke ansoo nikal kar ke kaho
Chahte ho pyar jatlana kise
Par har waqt in motiyon ko yun hi bahate rehna bhi to theek nahin..
Kabhie kabhie ansuon ko humein dil mein sahej ke rakhna padta hai…
Kabhie apne maan sammaan ke liye to...
Kabhi un ghamon ko dil hi mein dafan karne ke liye jiski kaali chaya hum apne kareebiyon pe nahin padne dena chahte.

Isiliye to kavi kavita ke ant mein aasuon ko ulaahna dete huye kehte hain
Ho gaya kaisa nirala ye sitam
Bhed sara khol kyun tumne diya
Yoon kisi ka hai nahin khote bharam
Aansuon! Kaho tumne ye kya kiya ?

To pesh hai ek behad marmsparshi rachna jiske shabda shayad aapko bhi ashru viglit kar dein…

Aankh ka aansoo dhalakta dekh kar
Jee tadap kar ke humara reh gaya
Kya gaya moti kisi ka hai bikhar
Ya hua paida ratan koi naya

(dhalakta-girta, ratan –gem)

Oos ki boondein kamal se hai kahin
Ya ugalti boond hain do machliyan
Ya anoothi goliyan chaandi madhin
Khelti hain khanjanon ki ladkiyan

(anoothi- khoobsurt, chaandi madhin- covered with silver, khanjan

Ya! Jigar par jo phaphola tha pada
Phoot kar ke wo achanak beh gaya
Hai! armaan, jo itna bada
Aaj wo kuch boond ban ke rah gaya

(phaphola- boil, ghav- phoot- break)

Poochte ho to kaho main kya kahoon
Yoon kisi ka niralapan bhaya
Dard se mere kaleje ka lahu
Dekhta hoon aaj pani ban gaya

(niralapan bhaya –azeeb baat ka hona, lahu-blood)

Pyas thi, is aankh ko jiski bani
Wo isko nahin saka koi pila
Pyas jisse ho gayi hai sau guni
Wah ! kya achcha ise pani mila

(sau guni – 100 times)

Theek kar lo, jaanch lo, dhokha na ho
Wo samajhte hain safar karna ise
Aankh ke ansoo nikal kar ke kaho
Chahte ho pyar jatlana kise

(dhokha-fareb, janch lo- to check)

Aankh ke aansoo samajh lo baat ye
Aan par apni raho tum mat ade (don’t be defiant)
Kyun koi dega tumhein dil mein jagah
Jab ki dil se nikal tum yoon pade

Ho gaya kaisa nirala (azeeb) ye sitam
Bhed sara khol kyun tumne diya
Yoon kisi ka hai nahin khote bharam
Aansuon! Kaho tumne ye kya kiya ?


Ayodhya Singh Upadhyay 'Hariodh' (1865-1941)

हिन्दी में पदने के लिये यहाँ क्लिक करें

शनिवार, अप्रैल 01, 2006

Nar Ho Na Niraash Karo Man Ko...

Naakaami, hataasha, maayoosi, krodh kuch aisi bhavnaayein hain jo gahe bagahe aksar humein dukhi karti rehti hain. Par inse nikalne ke liye idhar udhar bhatakne ke bajay agar apne antarman mein jhakein to wahin se ek umeed ki roshani jhalak sakti hai. Main to har baar aise chanon mein apne paas hi lauta hoon aur yahi mehsoos kiya hai ki aatma bal (self motivating force) hi sabse bada bal hai yani aapne aap ko sahara aap apni andruni shakti ko jaga ke hi de sakte hain. Kehte hain ki uparwala usi ke sath deta hai jise apne aap pe bharosa hai.

Aakhir Iqbal ne yun hi to nahin kaha..

Khudi ko kar buland itna ki har taqdeer se phehle
Khuda bande se khud pucche ki bata teri raza kya hai.

Aur is kavita mein Gupt ji bhi kehte hain
Akhileshwar hai avlamban ko
Nar ho naa nirash karo man ko

Bachpan mein pitaajee utsaah badhaane ke liye isi kavita ki panktiyan sunaate the. Aur aaj bhi mujhe jab lagtaa hai main bekaar hi apna samay nasht (waste) kar raha hoon to is kavita ki panktiyan gunguna kar khud mein ek nayi aasha ka sanchaar karne ka prayaas karta hoon…

Kuch kaam karo, Kuch kaam karo
Jag mein rah kar kuch naam karo

Yeh janma hua kis arth aho
Samjho jismein yeh vyartha na ho
Kuch to upyukta karo tan ko
Nar ho naa nirash karo man ko

Sambhlo ki suyog naa jaye chala
Kab vyartha hua sadupaay bhala
Samjho jag ko na nira sapna
Path aap prashast karo apna
Akhileshwar hai avlamban ko
Nar ho naa nirash karo man ko

Jab prapta tumhein sab tatwa yahan
Phir ja sakta hai satwa kahan
Tum swatwa sudha ras paan karo
Uthke amaratva vidhaan karo
Davroop raho bhav kaanan ko
Nar ho na nirash karo man ko

Nij gaurav ka nit gyan rahe
Hum bhi kuch hain ye dhyaan rahe
Sab jaye abhi par maan rahe
Marnottar gunjit gaan rahe
Kuch ho na tajo nij saadhan ko
Nar ho na nirash karo man ko

Maithili Sharan Gupt
Maithilisharan Gupt (1886-1965) was one of the most famous modern Hindi poets. He was designated as the National Poet by the first government of the independent India.