रविवार, दिसंबर 31, 2006

Varshik Sangeetmala : 2006

Ek Shaam Mere Naam par aane wale doston. Saal ka ant aa pahuncha hai aur main taiyar hoon 2006 ki Varshik Sangeetmala yani Annual Musical Countdown ko lekar. Pichle do salon yani 2004 aur 2005 se ye countdown is blog ka ek aham hissa rahi hai. Pichle saal aur usse pehle is silsile ka hum sab ne mil kar lutf uthaya tha. Asha hai is saal bhi ye silsila aapke liye mazedaar hoga.

Waise bhi blogging ke safar ki shuruaat se hee geet sangeet mere blog ka aham hissa rahe hain. Achcha geeton ko sunna, , unhein dil se mehsoos karna , unhein gungunana aur phir doston ke sang baatna mujhe humesha se sabse adhik khushi dete rahe hain.


Geeton ke maamle mein is saal ki shuruaat kuch khas achchi nahin thi par saal khatma hote kuch behtareen geet sunne ko mile. 2004 mein maine
Khul ke Muskura De Tu ko apna priya geet chuna tha jabki 2005 mein mere dil ne ye jagah Ratiya Andhiyari Ratiya ko dee thi. Aur 2006 mein....are ye abhi kaise bata doon.

Ye jaanne ke liye aap sabko meri pasand ke in 25 behtareen geeton ke is safar pe chalna padegaa.

To kahiye taiyaar hain naa ?

मंगलवार, दिसंबर 19, 2006

Charag Dil Ka Jalaao..Bahut Andhera Hai...

Ye office ke daure mere is chiththe ki gadi mein beech beech mein break laga dete hain. aaj pesh-e-khidmat hai ye geet ...
pichli baar ki shaam Majaaj ke Jeevan ki udaasi ko le ke aayi thi. aaj maamla waisa to nahin par usse khaas jua bhi nahin.
Dekhiye na janab
Majrooh Sultaanpuri andhere ke beech khade hokar aawaazein laga rahe hain, us hamsafar ke liye jo na jaane kahan gum ho gaya hai !
Aur to aur shayar ke hriday ki kaalima ko hatane mein na sitaron ki fauj kaam kar rahi hai, na hee baharon ki khoobsurti..
Ab to sachche dil se lagayi is pukaar ka hi sahaaraa hai....shayad pahunch jaaye un tak...


Charag Dil Ka Jalaao
Bahut Andhera Hai
Kahin se Laut ke aao
Bahut Andhera Hai...

Kahan se laaoun,Kahan se laaoun
woh rangat gayi baharon ki
Tumhare saath gayi roshni nazaaron ki
Mujhe bhi paas bulaao
bahut andhera hai..

Charag dil ka jalaao
Bahut andhera hai..

Sitaaron tumse andhere
kahan sambhalte hain
unhi ke nakshe kadam se
charag jalte hain
Unhi ko dhoondh ke laao
Bahut andhera hai..

Charag dil ka jalaao
Bahut andhera hai
Kahin se laut ke aao
Bahut andhera hai...


ab aap soch rahe honge ki is geet ki yaad achanak mujhe kaise aa gayi. to hua yoon ki is blog ke reader ne ise mujhe bhent swaroop bheja Yoon to 'Chiraag' film ke baki geet maine pahle hi sune huye the par ye geet maine pehli baar is gift ki badaulat hi suna. ek baar phir shukriya dost is geet ko mujh tak pahuchane ke liye.Ab mujhe koyi song achcha lage aur wo aap sab tak na pahunche aisa kabhie hua hai ? nahin naa ;). to leejiye is geet ko sunne ke liye Is page par jayein

Movie Chiraag (1969)ke liye ye geet Mohmmad Rafi ne gaaya tha aur isi dhun banayi thiMadan Mohan sahab ne


Is geet ke lyrics Devnaagri mein padhne ke liye yahan click karein.

शनिवार, दिसंबर 09, 2006

Majaaz Lakhnavi ki Zindagi ka Aaina : 'Aawaaraa'

Janaab Asraar -Ul-Haq urf Majaaz Lakhnavi ek shaayrana khaandaan se taalluk rakhte the.Unki bahan ka nikaah Javed Akhtar ke pita Janisaar Akhtar se hua tha.

Majaaz ki ye nazm urdu shayari ki behtareen nazmon se gini jati hai. Yoon to AMU se graduation karne wale majaaz ki ginti us zamane ke progressive shayaron mein hoti thi, par Delhi mein ek ameer shadishuda ladki se apne prem mein asafal hone ke baad we is qadar zindagi se hataash ho gaye ki sharaab aur shayari ke aalawa kahin aur apna gham ghalat naa kar sake.

Dekha jaye to Majaaz ki poori zindagi ka dard is nazm ke aaine mein sama gaya hai. Delhi se wapas Lucknow aur phir Mumbai mein kismat aajmaane aaye Majaaz ka jakhma itna hara tha ki unhein Mumbai ki chakachoundh kahan se pasand aati. So unhone likha

shahar kii raat aur mai.n naashaad-o-naakaaraa* phiruuN
jag_magaatii jaagatii saDakoN pe aavaaraa phiruuN
Gair kii bastii hai kab tak dar badar maraa phiruuN
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN
* udaas aur be-kaar

Mumbai ki marine drive ka saundarya bhala kisse chupa hai?
Par jab dil mein kisi ki bewafaayi ki chot ho to ye motiyon sareekhi timtimati raushani bhi seene mein tez dhaar waali talwaar ki tarah lagti hain. Na us waqt chaand ki chaandni dil ko sheetalta pahuchaati hai na khoobsoorat sitaron se pati ye aakaashganga hi dil ko shukoon de paati hai

jhil_milate qum_qumoN kii* raah meN zanjiir sii
raat ke haathoN meN din kii mohanii tasviir sii
mere siine par magar chalatii hu_ii shamashiir sii
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN

ye rupahalii chhaaoN ye aakaash par taaroN kaa jaal
jaise suufii kaa tasavvur jaise aashiq kaa Khayaal
aah lekin kaun jaane kaun samajhe jii kaa haal
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN

Majaaz ka man bhatakta raha, kabhie maykhane mrin to kabhie husn ki mehfil mein. Pat har waqt vo mehfilein bhi kahan se mayassar hotin ! Agar koyi cheez humesha majaaz ke sath rahi to sirf akelapan, udaasi aur ruswaayi


raat haNs haNs kar ye kahatii hai ke maiKhaane meN chal
phir kisii shah_naaz-e-laalaaruKh* ke kaashaane** meN chal
ye nahiiN mumkin to phir ai dost viiraane meN chal
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN
*phuuloN se chehre waali ladki , **makaan


Na ishq mein takdeer ne sath diya aur usse ubarne ki koshish mein naye hamsafar ki jab talaash ki to samaaj ne unke sentimental sharaabi ki tagma de hashiye par laa khada kiya. Majaaz zindagi ke is akelepan se ladte rahe. Apni zindagi ki is kasmakash ko in paktiyon mein kis khoobi se utaara hai unhone

raaste meN ruk ke dam le luuN merii aadat nahiiN
lauT kar vaapas chalaa jaa_uuN merii fitarat nahiiN
aur ko_ii ham_navaa mil jaaye ye qismat nahiiN
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN


Kya azeeb cheez hai ye ishq.gar paas rahe to sab khushnuma lagta hai aur door chitak jaye to chamakti chaandni dene wala maahtaab bhi baniye ki kitaab sa peela dikhne lagta hai.
Ratein beetati gayin..
aur chaand roz apni manhoos shaklein dikhlata raha
Majaaz ka dil qatar aur bechain hee raha....aur unhone likha



ik mahal kii aaD se nikalaa vo piilaa maah_taab*
jaise mullaah kaa amaamaa** jaise baniye kii kitaab
jaise muflis*** kii javaanii jaise bevaa kaa shabaab
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN
*chaand , **pagRii , ***gareeb

jii meiN aataa hai ye murdaa chaaNd-taare noch luuN
is kinaare noch luuN aur us kinaare noch luuN
ek do kaa zikr kyaa saare ke saare noch luuN
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN


Yahan maine Majaaz sahab ki is nazm ke kuch pasandeeda hisse hi pesh kiye hain taki post jyada lambi na ho jaye. Agar aap poori nazm aur Majaaz ki dukhbhari kahani se roobaru hona chate hain to yahan aur yahan padh sakte hain.
1953 mein film Thokar mein Talat Mehmood ne is nazm ko apni aawaaz dee aur phir Jagjit Singh sahab ne Kahkashan album mein is nazm ka kuch hissa behad khoobsurti se gaya hai.

मंगलवार, दिसंबर 05, 2006

Ashapoorna Devi rachit Leela Chirantan

Ashapoorna Devi ahindibhashi sahityakaaron mein meri sarvadhik priya kathakaar rahi hain. Unki triology Pratham Pratishruti, Suwarnalata aur Bakul Katha british era se lekar aaj ki nari ki chetna ke uttarottar vikas ki amar gatha hai. Ashapoorna ji kee naayikayein humesha se swabhimani, doordarshi aur samaajik taur tareekon se na dabne waali rahi hain.

Leela Chirantan ki naayika Kaaveri bhi inse bhinna nahin hai. warna shaadi ke bees saal baad us ghoshna ki uska pati bal bachchon ko chor kar vairagya grahan kar lega aur koyi is dard ko chupchaap pee kar, bina oopari rosh vyakta kiye apne kaam mein lag jayega, aisa kaun soch sakta hai bhala…..

Aage padhne ke liye yahan click karein….